Hello doston aaj main aapko computer ke upyog aur computer ke use ke bare mein batane wala hun computer ka istemal kahan kahan Kiya jata hai isliye bare mein aaj main aapko batane wala hun isliye isliye kaun sa tha avashya padhe jaise aapko bhi Jankari ka naam mil sake yadi aapko Iske bare mein pata hai to bahut acchi baat hai yadi Nahin Pata to Aaj Ham ISI ke bare mein batane Wale Hain isliye isliye ko ant Tak avashya padhen.
Computer ka upyog use of computer in Hindi
Use of computer in Hindi computer ka upyog Hindi mein computer ka upyog Kahan kahan hota hai use off computer and our daily life.
Hello friends how are you welcome again doston jaisa ki AAP sab jante Hain ki aaj ki duniya mein Bina computer ke bahut se kam karna mushkil ho jata hai ya Yun kahen ki computer Ke Bina bahut sara kam sambhav nahin Hai.
Aaj ke Yug mein lagbhag sabhi log computer se parichit ho gaye kyunki lagbhag har jagah matlab ki sabhi office mein school mein college mein ityadi jagah per computer ka upyog hota ja raha hai aap to lagbhag sabhi logon ke ghar per bhi computer maujud hota hai computer ka upyog aajkal har jagah hone Laga Hai Jaise college mein hospital ityadi mein.
Tu chaliye ham jante Hain ki computer ka upyog Kahan kahan aur kis kis purpose ke liye hota Hai.
Computer ka upyog
Sabse pahle ham log computer ka upyog hone wale jagah ka list dekhenge.
1. Education
2. Hospital
3. Sports
4. Business
5. Science And Research
6. Entertainment
7. Government
8. Defence
9. Weather department
10. Banking
Ab ham log ine sabhi ke bare mein detail se padhenge to chaliye shuru karte Hain.
Computer ka upyog
1. Education
Shiksha ke Kshetra mein jab se computer aaya Hai tab se Shiksha ka star badh gaya Shiksha ke Kshetra mein computer Ke aane se bahut sare students Ghar baithe kisi Bhi chij ki jankari aasani se internet ke dwara le sakte hain Aaj Ke din mein school se lekar college student Tak sabhi ko internet per lagbhag char se panch ghanta bitate hain aur dher sari jankariyan Ghar baithe hasil kar lete hain.
2. Hospital
Aspataalon ke liye computer ek Chamatkar Hai kyunki kisi bhi prakar ke rogi ka ilaaj computer ke dwara jald se jald sambhav ho jata hai aajkal sabhi medical information ko digitise kar diya Gaya Hai taki kisi bhi rogi ka record jald se jald create Kiya ja sake aur sath hi use record ko ham sabhi jagah per store karke rakhne ki jarurat na pade.
3. Sports
Khelkud mein bhi hamen har tarah Ke information rakhne ki avashyakta padati hai aur yadi computer ke dwara information ko record kiya jaaye to isase khelkud ke sanchalan mein teji ko laya ja sakta hai aur khelkud ke sare data ko ek jagah se dusri jagah bahut aasani se bheja ja sakta hai.
4. Business
Aaj Ke din mein computer ka upyog vyavsay mein badh chadhkar hone Laga Hai lagbhag sabhi prakar ke vyavsay mein computer ka upyog hota hai aur sabhi business mein alag alag kamon ke liye computer ka upyog Kiya Jata Hai Jaise computerised bil banane ke liye store mein Rakhi gai samanon ki list taiyar karne ke liye ityadi.
5. Science And Research
Vigyan aur anusandhan ke Kshetra mein computer ka ek bahut hi aham bhumika Hai tarah tarah Ke vaigyanik Apne har tarah Ke prayog ke liye computer ka upyog karte hain computer ke dwara khinchi Hui chij ke bare mein research karne mein aasani Hoti Hai computer ke dwara scientist aur researchers Puri duniya mein kisi bhi chij ke upar bahut hi aasani se recharge kar sakte hain.
6. Entertainment
Aaj Ke din mein computer ka istemal Manoranjan ke Kshetra mein bahut jyada ho raha hai Jaise video dekhne mein game khelne mein ya video ko create karne mein ab hamen computer mein dher sari functionality milati Hai jisse ham hamen alag se internet ke liye television ki avashyakta nahin padati Hai.
7. Government
Sarkari kamon ke liye sabhi department mein computer ka istemal hone Laga Hai computer ke istemal ke dwara sabhi kamon ko jaldi aur bade aasani se karaya ja sakta hai aajkal traffic system ko behtar banane ke liye computer ka istemal Kiya Jata Hai yani ki traffic ka control computer ke dwara hota hai jisse travel control karna bahut hi aasan ho jata hai.
8. Defence
Raksha ke Kshetra mein shuru se hi computer ke istemal Kiya jata hai pahla network difference ke dwara hi taiyar kiya gaya tha jiske dwara sancha rakhiya ja sakta tha defence ke Kshetra mein computer ka istemal tarah tarah ke kamon ke liye Kiya Jata Hai jaise ki machine taiyar karne ki liye kaun sa missile hamla ho raha hai uski jankari pane ke liye ek dusre se communication karne ke liye future plans taiyar karne ke liye.
9. Weather department
Mausam vibhag mein Mausam ke bare mein pata lagane ke liye computer ka istemal hota Hai isase Kai sare fayde hote hain jaise ki hamen Mausam ke bare mein pahle se pata lag jata hai ki Mausam kaisa rahega aur uske bad ham Mausam ke hisab se apna Kam kar sakte hain aaj kya karna hai kab kya karna hai kahan per kam karna hai ityadi sabhi pata lag jata hai.
10. Banking
Banking Kshetra mein computer ka istemal Apne customer ka record rakhne ke liye Kiya Jata Hai taran tarah Ke banking record rakhne ke liye tarah tarah ki computers ka istemal Kiya Jata Hai Jaise transaction ka record rakhne ke liye check book pradan karne ke liye.
Doston main Asha Karta Hun Ki aapko yah Jankari Pasand I Hogi yadi aapko yah Jankari acchi lagi hai to ise Apne doston rishtedaron ke sath Jarur share Karen jisse unhen bhi Jankari ka naam mil sake message Tarah ki jankari Apne is blog channel per Lata rahata hun isliye website per aap Aate rahiyega jisse aapko nayi nayi Jankari padhne ka mauka Milega To Milte Hain agale Kisi Nahin Jankari ke sath.
0 Comments